- Ghazal"
Bin Us K Zindagi Dard-e-Tanhai Hy,
Meri Aankhon Mai Q Mout Simat i Hai,
Kehtay Hain Log Ishq Ko Ibadat Yaro,
Ibadat Mai Phr Q Itni Ruswai Hai,
Mahfil mai reh kar b Tanha rehna
Ye ada uski mohabbat nay sekhai hai
Us sy taluq hai kuch aisa dil ka,
Jb b sochA usko Aankh bhAr i hai.
Admin: Qamar
- Nigahon k tasadum se ajab takraar karti hai..."
"Yaqin kaamil nahi Lekin gumaan hai Pyar karti hai..."
"Laraz jata hun Mein ye soch k kafir na ho jaon..."
"Tabiyat Us ki pooja pe bara israar karti hai..."
"Usay maloom hai shayad mera Dil hai nishanay par..."
"Labon se kuch nahi kehti nazar se waar karti hai..."
"Mein Us se pochta hun khuwab mein,"
"Mujh se Mohabbat hai...?"
"Phir aankhain khol deta hun wo jab izhaar karti hai..
Admin: Qamar
- Tumhary "KHWAB" sajany me lutf aata hay,
K apna aap "JALANY" me lutf aata hay,
Khuda se apne liye "MAANGTA" hon jab tujh ko,
Mujhy ye "HATH" othany me lutf aata hay,
Teri "YAAD" me bas jaagty rahein shab bhar,
Khud apni "NEEND" churany me lutf aata hay,
Teri "ZAAT" se hay be_panah "PIYAR" hamein,
Tumhary "NAZ" othany me lutf aata hay.
Admin: Qamar
- Mohabbat k Safar me koi b Rsta nhi deta,
Zmeen Wakif nhi bnti Falak Saya nehi deta
Khushi aur Dukh k mosam sb k apne apne hote hen,
Kisi ko Apne Hissey ka koi Lamha nhi deta,
Udasi jis k dil me ho usi ki Nind Urti he,
Kisi ko apni ankhon se koi sapna nehi deta,
Uthana Khud Hi parta he Thakka Toota Badan Apna
K jb tk Sans Chalti he Koi Kandha nehi deta,.......
Admin: Qamar
- Mohabbat Zaat Ke Ander Koi Guum Zaat Hoti Hai………..
Mohabbat Ke Ta’qub Mein Hamesha Ghaat Hoti Hai…….
Mohabbat Mein Khushi Se Mout Ko Ham Orh Laitay Hain
Zara Socho Ke Is Mein Aisi Koi Baat Hoti Hai…………………..
Mohabbat Shehaid Mei Lipta Howa Ik Zeher Hai Laikin
Mohabbt Jeet Hoti Hai, Mohabbat Maat Hoti Hai………….
Mohabbat Khud Zamana Ho Ke Bhee Hai MosmoN Jaisi
Kubhi Ye Subaah Hoti Hai, Kubhi Ye Raat Hoti Hai………….
Mohabbat Aisi Khushbu Hai Kubhi Yukjaa Nahee Rehti
Ksi Se Door Hoti Hai,Ksi Ke Paas Hoti Hai……………………….
Mohabbat Jis Ko Haasil Ho Muqaddar Ka Sikander Wo
Mohabbat Rab Ki Jaanib Se HaseeN Sogaat Hoti Hai……!
- Dasht-e-Wafa Men Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha,
Dekha To Aik Dard Ka Darya qareeb Tha.
Guzray Jidhar Jidhar Se Tamanna Ke Qaafilay,
Har Har Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha.
Kuch Aisi Meharban To Na Thi Hum Pe Zindagi,
Kyun Har Koi Jahan Mein Hamara Raqeeb Tha?
Kya Kya Lahu Se Apne Kiya Hum Ne SurKharoo,
Us Door K Nagar Ko Jo Dil K Kareeb Tha.
Apna Pata Tou usne Diya Tha Mujhay “QATEEL”
Me Khud Hi Kho Gaya To Ye Mera Naseeb Tha.
Admin: Qamar
- Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai,
Ke Zindagi Teri Zulfo Ki Narm Chao Mein,
Guzarne Pati To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi.
Ye Ranj-O-Ghum Ki Syaahi Jo Dil Pe Chai Hai,
Tere Nazar Ki ShuwaoN Mein Kho Bhi Sakti Thi.
Magar Ye Ho Na Saka,
Magar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam Hai,
Ke Tu Nahi Tera Ghum Teri Justaju Bhi Nahi.
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise,
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarzoo Bhi Nahi.
Na Koi Raah Na Manzil Na Roshni Ka Suraagh,
Bhatak Rahi Hai Andheron Mein Zindagi Meri,
Inhi Andheron Mein Reh Jaunga Kabhi Kho Kar,
Main Jaanta Hu Meri Ham Nafas Magar Yunhi,
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai.
- Zakham diye hain tu phir unka madawa bhi karo,
Mujhko chaha hai tu phir iska dawa bhi karo,
Kaisi uljhan main girftar rahay ho din bhar,
Ho gai raat charagoon ko jalaya bhi karo,
Ajj kuch deer roko pal bhar ko sakoon laynay do,
Itni jaldi main ho tu phir faslay mataya bhi karo,
Woh jo aik dewar meray dil main uthai tu nay,
Khool doo khirky aur aik bar nazar aya bhi karo,
Pher wohi khawab wohi sochain wohi tanhai,
Sahmi ankhoon ko sar-e-sham sulaya bhi karo..
Admin: Qamar
- Wo Jo basa Hai Mere Dil Mein Usey Bataon Kese
Dar Bhi Lagta Hai Zamane Se Chupaon Kese
WO Shaks To Panchi Hai Urr jaye Ga
Mein Khud Ko Uske Peeche Uraon Kese
Mein To Uske Liye Duniya Gi Chor Don
Iss Se Zada Mein usey toot ker chahon kese
dil hai jo uss ajnabi ko apna manta hai
iss dil-e-nadan ko mein samjhaon kese
wo shaks mere dil pe hukmurani kerta hai
uske elawa mein kisi aur ko basaon kese
- Tum aik bar zara pyar se idhar dekho,
To phir rawaa hai ke mujh ko na umar bhar dekho,
Tu mere sath kabhi jin se bar’haa guzra,
Kabhi to aa ke woh sunsaan rehguzar dekho,
Humain na dekho chalo hum udaas hi thehrey,
Jahan hain saaye udaasi ke woh nagar dekho,
Tumharey sath yeh paya hai dosti ka sila,
Mere hareef hain is sheher mein jidhar dekho,
Tumhara haal to sara zamana jaanta hai,
Hamara haal hai kesa zara idhar dekho..
Admin: Qamar
- Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai,
Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai,
Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khawab ankhon mein,
Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai,
Kabhi sheher-e-tamana ne kabhi kisi ne phool paaye kya,
Yeh titlee soch kar kaanton per so jaye to acha hai,
Kayi din se mere ghar ke dar-o-deewar hain viraan,
Kisi ke wasl ki baarish jo ho jaye to acha hai,
Jahan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai,
Mere seeney pe jugnu beej bo jaye to acha hai,
Mein pathar ho gaya hoon gham se aesa reh nahin sakta,
Agar barish mera chehera bhigo jaye to acha hai,
Yeh maana hijrtain is gaaon se zaroori hain,
Meri basti mere andar samo’o jaye to acha hai,
Mein ab ke chahta hoon yeh ke is saawan jo barish ho,
Puraney mausmon ke rang dho jaye to acha hai,
Bhanwar se bheek mangey ga? Teri fitrat nahin Sahir,
Tu kashti aap hi apni dabo’o jaye to acha hai…
- Har taraf phaili thi us ki yaad jungle ki tarah,
Main guzar kar ageya hoon urrtey huye baadal ki tarah,
Aik lamhey ko judaa honey de mumkin hi nahin,
Dheyaan rakhti hai mera woh apne aanchal ki tarah,
Muskuraa kar dekhti hai jab woh khirki se kabhi,
Aik khawhish dil main khil jati hai kompal ki tarah,
Choti choti baton per roney ki aadat hai usey,
Aur ankhon mein mujhe rakhti hai kaajal ki tarah,
Jab bhi paani phenkti hai woh shararat mein Hassan,
Jism lagta hai mujhe bheegey huye thall ki tarah..
Admin: Qamar
- Meri Chahat Tha Wo Meri Anaa Bhi Tha
Merey Khamosh Lehjon Ki Ek Sadaa Bhi Tha
Rehta Tha Subha-o-Shaam Wo Mere Wajood Mein
Meri Awaaz..Mera Lehja….Wo Meri Adaa Bhi Tha
Deta Tha Wo Mujh Ko Zakhm Behisaab Magar
Hamdard Bhe Tha Wo Mera..Wo Meri Wafa Bhi Tha
Ab Os Ke Zikar Pe Mein Aksar Baat Badal Deta Hoon
Kabhi Meri Mohabbat Ki Inteha Bhi tha
Ajab Kash Ma Kash Mein Thi Zindagi Meri
Poojna Usay Tha Aur Dil Mein Khuda Bhi Tha
Admin: Qamar
- Andherey ghamon ke seher dhoondtey hain,
Abhi tak khushi ka nagar dhoondtey hain,
Khabar hai khushi ik siraab nazar hai,
Nahin ab miley gi, magar dhoondtey hain,
Jahan barishon ne ujaarri hai basti,
Ussi sheher mein apna ghar dhoondtey hain,
Mittaa de jo barhti huyi talkhiyon ko,
Jahan bhi miley woh nazar dhoontey hain,
Laraztey huye meri palkon pe aansuu,
Duyaaon mein apni assar dhoondtey hain,
Mohabbat hai parwaaz se un ko Qamar
Aseeri mein jo baal-o-par dhoontey hain.
Admin: Qamar
- Tumhain fursatain jo milain kabhi meri wehshaton ko qarar do,
Hon apnay aap say bekhaber meri zindagi sanwar do,
Mujhay saath apnay lay chalo kisi khawab wadi k dar talak,
Mujhay nazar-e-husn-e-bahar do meri chasham-e-tar ko khhumar do,
Iss chammon ke saari ranginiyan tum apnay khatay main daal lo,
Mujhay dard do mujhay ashk do mujhay gul k badlay khhar do,
Main daastane-e-khizan sehi mera ziker ab bhe howa’on main,
Meray hisay ke hain jo neamatain meray zard mazi main dal do,
Hon payar ke purnum sada mujhay rasm-e-ulfat ka kiya pata,
Koch waqat-e-fursat nikaal ker ik shaam mujh ko udhhar do,
Mera mun kabhi nehi manta teray dar ka bun jaon gada*,
Meray lafz bun jaien sada mujhay payar do mujhay payar do,
Nehi aaj tak jo ho saka gham-e-hijer ka ho ab bhala,
Meri zeest jis say guzer sakay mujhay aisay gham hazar do,
Teri merzi meray na khuda gar sunn lay qamar ke Aziz*,
Mujhay day sako tau kinara do ya dooor sahil utaar do.
Admin: Qamar
- Yunhi be sabab na phira karo, koi shaam ghar mein rha karo,
Woh ghazzal ki sachi kitaab hai usey chupke chupke parha karo,
Koi hath bhi na milaye ga jo milo ge tapaak se,
Yeh naye mizaaj ka sheher hai zara fasiley se mila karo,
Abhi raah main kayi morr hain koi aye ga koi jaye ga,
Tumhe jis ne dil se bhulaa diya usey bhoolne ki dua karo,
Mujhe ishtehaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan,
Jo kaha nahin woh suna karo, jo suna nahin woh kaha karo,
Kabhi husn parda nasheen bhi ho zara aashiqana libaas mein,
Jo mein ban sanwar ke kahin chaloon mere sath tum bhi chala karo,
Nahin be’hijaab woh chaand sa ke nazar ka koi assar na ho,
Usey itni garmi-e-shoq se bari dair tak na takka karo,
Yeh khizaan ki zard si shaal main jo udaas pairr ke pas hai,
Yeh tumharey ghar ki bahaar hai, usey aansuyon se haraa karo
Admin: Qamar
The Best Gazal
- Wo Mehndi lge hath Dikha k Roi,
Main kisi or ki hon wo ye Bta k Roi,
Mein bola kon ha wo khushnaseeb,
Wo mehndi se likha hua naam Dikha k Roi,
Kahin gham se phat na jaye Jigar mera,
Wo hanste hanste muje hansa k Roi,
Dil na toote uska gham-e-Hijar me
Mein B roya wo b meri aankh se ankh mila k Roi,
Use jana jab mere rone ka sabab
Apne aansu meri haatheli pe Saja k Roi,
Jab b dekha use hanste hue dekha
Waqt-e-Hina hr khushi ko wo Bhula k Roi,
Dil ne chaha Usy G bhar k dekh lon,
Wo meri ankhon ki Pyas ko Bujha k Roi,
Kabi kehti thi k Main nhi G paon gi tum bin
Or aj phir wo ye bat Dohra k Roi.....
Admin: Qamar
- Koi Dhun Ho, Main Tere Geet Gaaye Jaaon
Dard Seene Mein Uthe Shor Machaye Jaaon,
Khawab Ban Kar Tu Barasta Rahe Shbnam Shabnam
Aur Bas Mein isi Mosam Mein Nahaaye Jaaon,
Tere Rang Utarte Chale Jaayen Mujh Mein
Khud Ko Likhon Teri Tasveer Baanye Jaaon,
Jis Ko Milna Nahi Pher Is Se Muhabat Kaisi
Sochta Jaaon Magar Dil Mein Basaaye Jaaon,
Tu Ab Is Ki Jis Par Mujhe Piyar Aata Hai
Zindgi Aa Tujhe Seene Se Lagaaye Jaaon,
Yehi Chehre Mere Hone Ki gawahi Denge
Har Naye Harf Mein Jaan Apni Samaaye Jaaon,
Jaan To Cheez Hai Kiya Rishta-e_Jaan Se Aage
Koi Awaaz Diye Jaaye Aur Main Aaye Jaaon,
Shayad Is Raah Pe Kuch Aur Bhi Rahi Hain
Dhoop Mein Chalta Rahoon Saaye Bechaaye Jaaon,
Ehl-e-Dil Honge To Samjhenge Sukhan Ko Mere
Bazm Mein Aa Hi Giya Hoon To Sunaaye Jaaon.
Admin: Qamar
- wo kuch sunta to mein kuch kehta mughey kuch aur kehna tha
wp pal bhar ko jo ruk jata mujhy kuch aur kehna tha
galat fehmi ne baatonko bara dala yuhi werna
kuch kaha tha wo kuch samjha mughe kuch aur kehna tha
kaha us ne suni meri suni bhi un suni ker di
usay maloom tha itna mughe kuch aur kehna tha
rawan tha piyar nas nas mein bohut qurbatthi aapus mein
usay kuch aur suna tha mughe kuch aur kehna tha
Admin: Qamar
- Ishqmein ghairat-e-jazbat ne rony na dia
werna kia baat thi jis bat ne rony na diya
Aap kehtey thy k rony se ba badlen gy naseeb
umar bhar Aap ki is baat ne rony na dia
rony walon se kaho un ka bhi rona ro len
jin ko majbori-e-halat nr rony na dia
tugh se mil ker hamein rona tha bohut rona tha
tangi-waqt-e-mulaqat ne rony na dia
ik do roz ka sadma to ro lain "AZIZ"
hum ko her roz k sadmat ne rony na dia
Admin: Qamar
- Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,
Jo khuda tha meray dil ka,mera dil usi ney tora,
Yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kis ney la chora,
Ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho,
Yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki,
Diya jis ko dil ussi ney meray dil sey dillagi ki,
Mein kahan kahan jala hoon meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho
Admin: Qamar
Great Gazal
- Dil ki dhadkan hai,khyaalon mein mere rehta hai
Kaun hai woh, jo swaalon mein mere rehta hai
Jis ka dekha na chehra us se wafa karta hoon
Dil ke aainey mein main us se mila karta hoon
Main nahin jaanta yeh kis ki talab hai mujh ko
Kis ka armaan iraadon mein mere rehta hai
Khwaab hai woh mera, taabeer dilaoon kaise
Apni hasrat ko main, taqdeer banaoon kaise
Mujh ko milta hai sakoon, us ka tasavur kar ke
Woh ishara, jo isharon mein mere rehta hai
Kis ki tareef mein likhi yeh ghazal kya janu
Kis ko kehta hoon mohabbat ka kanwal kya janu
Main to bas ek hi umeed mein rehta hoon sadaa
Us ko dekhoon jo nazron mein meri rehta hai
Admin: Qamar
- Jab Dekha Tere Aankhon Mein Maine
Thum Sa Gaya Yeh Dil Mera..!
Jab Chuma Labbo Ko Tere
Khil Sa Gaya yeh Dil mera..!
Jab Aaye Tum Meri Banho Main
Mahek Sa Gaya Yeh Dil Mera..!
Jab Aaya Waqt Juda Hone Ka Tum Se
Udaas Ho Gaya Yeh Dil Mera..!
Aab Ye Aalam Hai
Utthi Hai Nazre Jaha
Chehra Tumhara Hota Hai Waha
Mujh Se Kehta Hai Yeh Dil Mera..!
Le Chaal Wapas Mujhe Unhi Rahon Main
Jaha na ho tumhare siva koi na Mera...!
Admin: Q.R
- Gham Ki Ahat Bhi Na Aaye Tere Dar Per....
Piyar Ke Sumandar Ka Tu Bhi Ek Kinara Ho...
Kabhi Bho0l Se Bhi Tapke Teri Aankho0n Se Moti....
Thame Wo Jo Tujhy Sabse Piyara HoGham Ki Ahat Bhi Na Aaye Tere Dar Per....

Thame Wo Jo Tujhy Sabse Piyara Ho
Admin: Q.R
- Apni Dharkano Se Kuch Aise Mera Naam Lo'
Yeh Waqt Ruk Jaye Is Lamhe Ko Thaam Lo.
.Teri Aankhon Mein Jhalak Hai Asi Merey Pyar Ki'
Saahil Pe Jese Dhalti Haseen Shaam Ho.
.Lafzon Se Hota Nahi Izhaar Hum se Pyar Ka'
Bas Meri Aankhon Mein Dekh Kar Khud Ko Pehchaan Lo..
Jese Tarasta Hai Sehra Shabnam K Chhoone Ko
Kabhi Wese RAB Se Tum Bhi Mujhe Maang Lo
Admin Q R
- Kabi mom ban k pighal gya,
Kabi girte girte sambhal gya,
Usay rokta b to kis tarah,
K wo shakhs itna ajeeb tha,
Kabi tarap utha meri aah se,
Kabi ashk se na pighal ska.!
Sar-e-rah mila wo agr kabi,
To nazar chura k guzar gya,
Wo utar gya meri ankh se,
Mere dil se kyun na utar ska.
Wo chala gya jahan chor k,
Main wahan se phir na palat ska.
Wo to sambhl gaya Muje chorr k,
Main bikher k phir na simat saka…
- Juda hony k mosam me juda hona zrori tha,
Najany q kisi ka bewfa hona zruri tha,
Mere dil ne jo is ko poojany ki intha kr di,
To phir us bewafa ka be Khuda hona zruri tha,
Kisi se koi b shikwa na koi b shakyat ha,
Jo mery sath chaht mein huwa hona zruri tha,
Bht nazdek thay dil is liye ab dooriyan b hain,
Dilon k dermiyan kuch fasla hona zrori tha,
Usy b drd deny ka bht he shok tha “Wasi”,
Hmy b dArd o gham sy ashna hona zrori tha.